YouTube seo kya hai | YouTube seo kaise kare

YouTube seo ko badhane se apki videos popular ho jayengi aur Aaj mai aapko batane ja raha hun ki aap YouTube videos ka seo kaise badha sakte ho voh bhi bahut asan basha mein. Doston niche likhe title ko padhiye,

What is seo ko improve kaise karein | Increase SEO trick 2023

Aap mein se bohot logon ka doubt hoga ki mene kya likha hai. Doston yeh ek seo friendly title ki example hai,jaise ki es mein ek se jyada titles hai:-

1) what is seo

2) SEO ko improve kaise karein

3) Increase SEO

4) SEO trick 2023

Yeh ek seo Ki example thi, chaliye ab detail mein jaante hain.


SEO kya hai?

Friends SEO ki full form 'search engine optimization' hai jiska matlab yeh hamari video ko search mein laine mein madad karti hai. Ek acha title banane ke liye aapko voh sabhi keywords,jisse traffic a sakta hai, ko jodkar ek  title banana hai. Aisa krne se aapki video mein search se traffic aana shuru ho jayega. Ab mein aapko ek acha title likhne ke steps bta deta hun:-

1) Search for keywords

Samaj ji liye ki aapne 'Instagram reel bonus' par video banai hai,toh apko 'instagram reel bonus' likhkar search krna hai aur jo pehli 5 videos aaengi unka title ko dhyan se padhna hai aur sabhi keywords find kar lene hain. Ab apko un keywords ko jodkar ek acha sa title tyaar kar lena hai. Samaj liye ki hamare paas yeh chaar keywords hain:-

1) How to make money from Instagram

2) How to earn money from Instagram

3) Instagram monetization

4) Instagram monetization trick 2023

Toh abh aapko ene aise jodna hai ki yeh chaaron keywords jodkar bhi hamara title 100 letters se kam ka ho,jaise niche diya hua title hai

How to earn/make money from Instagram monetization trick 2023


Basics of SEO

Chaliye doston ab mai aapko SEO ke basics matlab aisi tips bata deta hun jine lagatar follow krne par aapki videos search mein aana shuru ho jayengi.

1) Agar ho sake toh apna title main keyword se shuru karein, yeh itna bhi jaruri nahi hai par title mein jyada keywords ka hona jaruri hai.

2) Competitors se sikho: Jaise ki mai aapko pehle hi bta chuka hun ki aapko apni video ke regarding search krna hai aur apne competitors ka title padkar ek acha sa title tyaar kar lena hai.

3) Description: Aapko apni video ki description mein apni main description ke baad voh sabhi keywords or queries likhni hai jisse aapki video ka sambandh hai. Aap 'your queries:-' likhkar voh sabhi queries likh dein.

Yeh sabhi steps follow karkar aap apni videos ko search mein la sakte hain,par isme kuch time lagega. Ab aap soch rahe honge ki itna time dene se acha aap koi aur method apnakar jaldi se YouTube se paise kma lein par mai aapko bata dun ki ajj kal millions subscribers vale channels bhi choti si galti krne ki vajeh se monetize nhi ho rahe aur bohot sare channels toh delete ho rahe hain. Toh inse bachne ke liye aapko kuch mehnat toh karni hogi .Doston YouTube mein safalta kabhi bhi shortcut se nhi milti yeh baat jaad rakhna. Doston aur ache se samajh ne ke liye aap mere YouTube channel 'Vir Ki Tech' ko subscribe kar lijiye usme bohot jaldi informative videos aine vali hain.

Post a Comment

Previous Post Next Post